Posts Tagged ‘urdu Shayari’
Posted by just4lovers on September 28, 2011
यह न थी हमारी किस्मत जो विसाले यार होता
अगर और जीते रहते यही इन्तेज़ार होता
तेरे वादे पर जिऐं हम तो यह जान छूट जाना
कि खुशी से मर न जाते अगर ऐतबार होता
तेरी नाज़ुकी से जाना कि बंधा था अहदे फ़र्दा
कभी तू न तोड़ सकता अगर इस्तेवार होता
यह कहाँ की दोस्ती है (कि) बने हैं दोस्त नासेह
कोई चारासाज़ होता कोई ग़म गुसार होता
कहूं किससे मैं के क्या है शबे ग़म बुरी बला है
मुझे क्या बुरा था मरना, अगर एक बार होता
(ग़ालिब)
इशरते कत्ल गहे अहले तमन्ना मत पूछ
इदे-नज्जारा है शमशीर की उरियाँ होना
की तेरे क़त्ल के बाद उसने ज़फा होना
कि उस ज़ुद पशेमाँ का पशेमां होना
हैफ उस चारगिरह कपड़े की क़िस्मत ग़ालिब
जिस की किस्मत में लिखा हो आशिक़ का गरेबां होना
(ग़ालिब)
मैं शमां आखिर शब हूँ सुन सर गुज़श्त मेरी
फिर सुबह होने तक तो किस्सा ही मुख़्तसर है
अच्छा है दिल के साथ रहे पासबाने अक़्ल
लेकिन कभी – कभी इसे तन्हा भी छोड़ दे
न पूछ इक़बाल का ठिकाना अभी वही कैफ़ियत है उस की
कहीं सरेराह गुज़र बैठा सितमकशे इन्तेज़ार होगा
औरौं का पयाम और मेरा पयाम और है
इश्क के दर्दमन्दों का तरज़े कलाम और है
(इक़बाल)
अक्ल क्या चीज़ है एक वज़ा की पाबन्दी है
दिल को मुद्दत हुई इस कैद से आज़ाद किया
नशा पिला के गिराना तो सबको आता है
मज़ा तो जब है कि गिरतों को थाम ले साकी
(ग़ालिब)
भला निभेगी तेरी हमसे क्यों कर ऍ वायज़
कि हम तो रस्में मोहब्बत को आम करते हैं
मैं उनकी महफ़िल-ए-इशरत से कांप जाता हूँ
जो घर को फूंक के दुनिया में नाम करते हैं।
कोई दम का मेहमां हूँ ऐ अहले महफ़िल
चरागे सहर हूँ बुझा चाहता हूँ।
आबो हवा में रहेगी ख़्याल की बिजली
यह मुश्ते ख़ाक है फ़ानी रहे न रहे
खुदा के आशिक़ तो हैं हजारों बनों में फिरते हैं मारे-मारे
मै उसका बन्दा बनूंगा जिसको खुदा के बन्दों से प्यार होगा
मैं वो चिराग हूँ जिसको फरोगेहस्ती में
करीब सुबह रौशन किया, बुझा भी दिया
तुझे, शाख-ए-गुल से तोडें जहेनसीब तेरे
तड़पते रह गए गुलज़ार में रक़ीब तेरे।
दहर को देते हैं मुए दीद-ए-गिरियाँ हम
आखिरी बादल हैं एक गुजरे हुए तूफां के हम
मैं ज़ुल्मते शब में ले के निकलूंगा अपने दर मांदा कारवां को
शरर फ़शां होगी आह मेरी नफ़स मेरा शोला बार होगा
जो शाख-ए- नाज़ुक पे आशियाना बनेगा ना पाएदार होगा।
0.000000
0.000000
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: ghalib shayari, iqbal shayari, urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on May 25, 2011
Saaqi! Sharaab La K Tabiyaat Udhaas Hai
Mutrib Rabab Utha K Tabiyaat Udhaas Hai
Chubthee Hai Qalb-o-Jaan Mai Sitaron Ki Roshni
Aye! Chaand Dhoob Ja! K Tabiyaat Udhaas Hai
Shahid Tere Labo Ki Chatak Se Ho Jee Bahar
Aye Dost Muskra K Tabiyat Udhaas Hai
Hai Husn Ka Fusson Bhi Ilaaj-e-Fasurdagee
Rukh Se Naqaab Utha! K Tabiyaat Udhaas Hai
MAI NE KABHI YEHD ZIDD THO NAI KI PAR AAJ SHAB!
AYE! MEHJABEEN! NA JAA K TABIYAT UDHAAS HAI
TAUBA THO KAR CHUKA HUN MAGAR PIR BI AYE! ADAM
THORA SA ZEHAR LA KE TABIYAT UDHAAS HAI
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: love Shayari, sad love Shayari, udaas Shayari, urdu Shayari | 1 Comment »
Posted by just4lovers on May 25, 2011
Hum Log Kay Wafa Karte Hain
Sidq-e-Dil Se Dua Karte Hain,
Kehkashaaon Ki Baat Le Kar
Khawab Paron Men Mila Karte Hain,
Apni Mulaqaton Ki Daastanein
Log Jugno`on Se Suna Karte Hain,
Har Maqtal Se Niraash Ho Kar
Teri Chukhat Pe Basera Karte Hain,
Woh Kinare Kabhi Mayoos Nahi Hote
Jo Milne Ki Jafwaa Karte Hain,
Apne Khawabon Se Bedaar Ho Kar
Tujhe Lafzon Mein Likha Karte Hain,
Jo Zamane K Niqaab Noch Daale
Isi Ko Noor-e-Masiha Ataa Karte Hain,
Sagar Mein Ab May Nahi Baaqi
Tabish-e-Soorat Se Dua Karte Hain.
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: love Shayari, true Shayari, Urdu nazm, urdu Shayari | 1 Comment »
Posted by just4lovers on May 20, 2011
Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan Mere Haal- e- Dil Pe Nazar Kahan
Tu Jafa Ki Haad Mein Na aA Saka, Mein Wafa Ki Haad Se Guzar Gaya….///

Shama roshun thee nazar phir bhi na aaya osko
dia jab es tarah jal ja ay to dukh hota hay
aik aansou jo ka e krb ayan kar dayta
aankh he aankh men ghul ja ay to dukh hota hay
( by Ghazala Bashir )

Uss ko pana to muqadar ki lakeero’n me nhi
Uss ka khona bhe karen kaisy gwaara Mohsin

Ajeeb Shart Lagayii Thii Uss Ney Jatey Waqt
Mein Uss ko Rokney Lagta To Bey-Wafa Hota…..///

Woh Mujh Se Bechar Kar Ab Tak Roya Nahi “Faraz”
Koi To Hai Humdard Uska Jo Usay Rone Nahi Deta.
Some URDU Shayari’s For You Guys,,,Just4lovers is Going Strong From 4 years,,All thanx to you All lovers
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in love...., shayari | Tagged: ahmed Faraz Shayari, just4lovers, love Shayari, sad love Shayari, shayari, urdu Shayari | 3 Comments »
Posted by just4lovers on March 26, 2011
Nigaah Phairkar Wo Bhi Udaas Hai Ab Tak…,
Wo Bewafa Toh Salikhe Ka Bewafa Bhi Nahi…!!!
Hum to Agaz-e-Muhabbat mein hi lut gaye FARAZ
Log kehte hain ki Anjam bura hota hai..
khusboo, rang, libas wahi hain azeez,
ab tak teri pasand meri aadaton mein hai.
wafa mein ye hunar ikhtiyaar karna hai
wo sach kahe na kahe, aitbaar karna hai
Tum deewar bano aur hum dar ban jayein
aao dono mil ke ek ghar ban jayein……
kouN Si CheeZ Dil Ke Bas MeiN Nahi
Dil MagAr ApNi DastAras MeiN Nahi !
Kab SE AankhaiN TalAAsh Karti HaiN
Ek DiN Jo Kisi BarAs MeiN Nahi !
Kabi pathar me phool Khil jate hain,
Kabhi Bahar me phool gir jate haIn,
Kuch Lashon ko to Kafan B Naseeb nahi hota
Or kuch par TAJ MAHAL bn jate hain.
KABHIE BARSAT MEIN SHADAAB BELEIN SOOKH JAATI HAIN ,HARE PAEDON KE GIRNE KA KOI MAUSAM NAHI HOTA…!!!!!
Maana ki tere deed ke kaabil nahin hoon mein,
Mera shauq dekh, mera intezaar dekh
mEri Zaat mEin Ek AisA ShakhS Bhi Hai
Wo mEri ZinDagi Hai , AuR MeiN Us Ka LaMha B Nahi !
aise Bhulu Un Zaalim Aankho Ko Mein..
Kar Di Hai Zindagi Meri Bezaar..
Jo Pyaar Ke Badle De Gayin Hai Bas Intezaar..
Saans bhi loun to Uski mehak aati hai,
Us ne thukraya hai mujhe itnay qareeb aanay k baad….
Some Sad Shayari’s for you all,,,thanx for your love & Support.I am ending this March 2011 Shayari Session with Some Beautiful lines….
Bas Yhi Soch Kar Tujhse aaj bHi Mohabbat Karta Hu,
Mera To Koi Nahi Hai,,Magr Tera To Koi Ho……..
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in love...., shayari | Tagged: bewafa Shayari, sad love Shayari, urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on February 16, 2011
Kaisa maazi tha kya hai haal apna
Dekhnaa tha hamaiN zawaal apna
Aur bhi ho gaye haiN hum tanhaa
Ek zara aaya tha khayaal apna
Dasht ho baaz-gasht se aabaad
Koyee duhrayee to sawaal apna
Yeh safar khatm yuN nahi hoga
Raasta badleN mah O saal apna
Dekh hum phir jala rahe hain Chiragh
Ae hawa hauslaa nikaal apna
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: Best Ghazal, Best Ghazals, Best Shairy, Chhoti Bahr, Chiragh, Dasht, Ghazal By Shahr Yaar, Hawa, Khyaal, Maazi, modern shairi, Safar, Shahr Yaar Ghazals, Shairy in Urdu, tanha, Top Ghazals, Udas shayari, Urdu Ghazals, urdu Poetry, urdu Shayari, Zawal | 1 Comment »
Posted by just4lovers on February 16, 2011
TamannaaoN meN ulajhaayaa gaya hooN
Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN
HooN us kuuche ke har zarre se aagaah
Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN
Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN
Saweraa hai bahut ai shor E mahashar
Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN
Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye
Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN
kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa
kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN
Shad Azim Abadi
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: Best Ghazal, Best Ghazals, Best Shairy, classical Ghazal, dil, Famous Ghazal, Fine Ghazal, Mahfil, Poets of Bihar, Shairy in Urdu, Tamanna, Top Ghazals, Udas shayari, Urdu Ghazals, urdu Poetry, Urdu Poets From Bihar, urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on February 16, 2011
Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa
‘Faraz’ aur use haal E dil sunaane jaa
Kal ek faqeer ne kis saadgi se mujhse kaha
Tere JabeeN ko bhi tarsaiNge aastaane jaa
Use bhi hamne gaNwaaya teri khushi ke liye
Tujhe bhi dekh liya hai, aray zamaane jaa
Bahut hai doulat E pindaar phir bhi dewaane
Jo tujhse rooTh chuka hai use manaane jaa
Suna hai usne So’ember kI rasm taza ki
‘Faraz’ tu bhi muqaddar ko aazmaane jaa
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: Ahmad Faraz Ghazal, Best Ghazal, Best Ghazals, Best Shairy, dil, Famous Ghazal, Fine Ghazal, Ghazal by Ahmad Faraz, Khushi, modern shairi, Muqaddar, Pakistani shairy, Shairy in Urdu, Top Ghazals, Urdu Ghazals, urdu Poetry, urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on February 16, 2011
Ye tajrubaa bhi karuN, ye bhi kar dikhaauN maiN
K Khud ko yaad rakhuN us ko bhul jaauN maiN
Fareb-kaar meN kuchh to hai, koi baat to hai
K jaan boojh ke itne fareb khaauN maiN
Vo pal kahaN haiN jo duniyaa se joRta tha mujhe
Jo paauN tujh ko to sab ke qarib aauN maiN
Kabhi to ho mere ehasaas E kam-tari meN kami
Kabhi to ho K use khul ke aazmaauN maiN
Vo shaKhs hai K nasim E sahar ka jhoNkaa hai
Bikhar hi jaauN jo us ko gale lagaauN maiN
AzaaN ke baad duaa ko jo haath uThaaye voh
‘Imam’ apani namaazeN bhi bhul jaauN maiN
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: Best Ghazal, Best Ghazals, Best Shairy, Famous Ghazal, Ghazal by Mazhar Imam, Mazhar Imam Ghazals, modern shairi, Namaz, Poets of Bihar, Shairy in Urdu, Udas shayari, Urdu Ghazals, urdu Poetry, Urdu Poets From Bihar, urdu Shayari | 1 Comment »
Posted by just4lovers on February 13, 2011
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Mein Btao Kya Mujhe Kya Mily
Mujhe Sbr Hi Ka Sila Mily
Kisi Aag Hi Ki Rida Mily
Kisi Dard Hi Ka Sila Mily
Kisi Gham Ki Dil Mai Jaga Mily
Jo Mra Hy Wo Mujhe Aa Mily
Rhy Shad Yu Hi Mra Jahan
K Yaqen Mai Bedly Mra Guman….
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Kbhi Sooni Subha Mai Ghomna
Kbhi Ujri Shamo Ko Daikhna
Kbhi Bhegi Ankho Mai Jagna
Kbhi Beetay Lamho Ko Sochna
Mgr 1 Pal Hy UMEED Ka
Hy Mujhe KHUDA Ka Jo Aasra
Na Hi Maine Koi Gila Kya
Na Hi Maine Di Hn Duhaeyan
“MERI ZAT ZARA E BENISHAN”
Mai Wo Kis Tarah Se Kro Byan
Jo Kiye Gae Hn Situm Yaha
Sunay Kon Mri Ye Dastan
Koi Humnashen Hy Na Razdan
Jo Tha Jhot Wo Bna Such Yaha
Nahi Kholi Maine Mgr Zuban
Ye Akaila Pun
Ye Udasiyan
Mri Zindgi Ki Hn Tarjuman
MRI ZAT ZARA E BENISHAN
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on February 13, 2011
Khat Likh Raha Hun Ahd_e_Mohabbat Ko Tor K..
Kaaghaz Pe Aansu’on Ki, Jagah Chor Chor K..
Tu Fikar-Mand Q hai Mera Dil Tor K?
Me Khud Hi Ja Raha Hun Tera Shahr Chor k..
Kal Raat Likhne Betha Ghazal Tere Naam Ki,
Alfaz Saamne The Khare Yun Haath Jorr Jorr k..
Jis Me Tumhara Aks_e_Haseen Dekhta Tha me,
Tum Ne To Rakh Diya Wohi Aaina Torr K..
ye Daastaan_e_zeest Bhi Kitni Taweel Hai?
Rakhna Pare Hain Mujh Ko Kuch Warq Morr Mor K…..
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: urdu Shayari | Leave a Comment »
Posted by just4lovers on December 16, 2010
Kis liye phirtaa huN tanha!! na kisi ne poochhaa
KyuN kahiN ji nahiN lagta!! na kisi ne poochhaa
Zehn aawaaraa, dil aawaaraa, nazar aawaaraa
Kaise is haal ko pahuNcha? na kisi ne poochhaa
Kaun hai, aayaa hai kis des se, kis se milne
Sab ne dekha magar itna na kisi ne poochhaa
Jaane kya kahte!! agar puchhtaa ahwal koi
Khair yeh bhi hua achchha na kisi ne poochhaa
Be ta’alluq hue ‘Ruhi’ ajab andaaz se log
Kis pe kya haadsa guzra, na kisi ne poochhaa
* Ruhi Kunjahi *
Like this:
Be the first to like this post.
Posted in shayari | Tagged: Urdu Ghazals, urdu Shayari | Leave a Comment »