Kaisa maazi tha kya hai haal apna


Kaisa maazi tha kya hai haal apna
Dekhnaa tha hamaiN zawaal apna

Aur bhi ho gaye haiN hum tanhaa
Ek zara aaya tha khayaal apna

Dasht ho baaz-gasht se aabaad
Koyee duhrayee to sawaal apna

Yeh safar khatm yuN nahi hoga
Raasta badleN mah O saal apna

Dekh hum phir jala rahe hain Chiragh
Ae hawa hauslaa nikaal apna

TamannaaoN meN ulajhaayaa gaya hooN


TamannaaoN meN ulajhaayaa gaya hooN
Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN

HooN us kuuche ke har zarre se aagaah
Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN

Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN

Saweraa hai bahut ai shor E mahashar
Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN

Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye
Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN

kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa
kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN

Shad Azim Abadi

Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa


Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa
‘Faraz’ aur use haal E dil sunaane jaa

Kal ek faqeer ne kis saadgi se mujhse kaha
Tere JabeeN ko bhi tarsaiNge aastaane jaa

Use bhi hamne gaNwaaya teri khushi ke liye
Tujhe bhi dekh liya hai, aray zamaane jaa

Bahut hai doulat E pindaar phir bhi dewaane
Jo tujhse rooTh chuka hai use manaane jaa

Suna hai usne So’ember kI rasm taza ki
‘Faraz’ tu bhi muqaddar ko aazmaane jaa

Ye tajrubaa bhi karuN


Ye tajrubaa bhi karuN, ye bhi kar dikhaauN maiN
K Khud ko yaad rakhuN us ko bhul jaauN maiN

Fareb-kaar meN kuchh to hai, koi baat to hai
K jaan boojh ke itne fareb khaauN maiN

Vo pal kahaN haiN jo duniyaa se joRta tha mujhe
Jo paauN tujh ko to sab ke qarib aauN maiN

Kabhi to ho mere ehasaas E kam-tari meN kami
Kabhi to ho K use khul ke aazmaauN maiN

Vo shaKhs hai K nasim E sahar ka jhoNkaa hai
Bikhar hi jaauN jo us ko gale lagaauN maiN

AzaaN ke baad duaa ko jo haath uThaaye voh
‘Imam’ apani namaazeN bhi bhul jaauN maiN

A beautiful poetry Combination


A Beautiful Poetry Combination Ever:

Parveen Shakir said:”Merey paas se jo guzra, mera haal tak na poocha,Main kaise maan jaoon ke woh door ja ke roya.”
…..

Ahmad Faraz said:”Tere paas se jo guzray to junoon mein the Faraz,Jab door ja ke socha to zaar zaar roye.”

Just4lovers ………

No. 1 Urdu Poetry


Sou baar marna chaha nigahon mein doob kar …!!!
Wo nigahein jhuka leta hai, hamein marne nahi deta…!!!

Accha khaasa beithey beithey gum ho jaata hoon..!!!
mein ab aksar mein nahin rehta tum ho jaata hoon…!!!

Ek umar beet chali Hai Tujhe chahty hue FARAZ…!!
Aur Tu aaj bhi Be-khabar hai Kal ki Tarah..!!!

jis K gird dostou ka hujOOm raha karta thaa suna haI FARAZ
Kal raat Ehsaas-e-TanhaYee se MAR gya “

Tum ko naraz hi rehna hai toh koi baat karo …!!!
Yun chup rehnay say mohabbat ka gumaan hota hai…!!!

Itni Shiddat Aansuon main pehlay kabi na thi..!!!
Dekha apne Naseeb ko to Sar-e-Aam Ro diye…!!!

Mujhe Us Din Kaa Besabri Se Intjaar Hai………..!!!!!!!!
Jab Dil Ke Itne Tukde Ho Jaye Ki Aur Tutne Ki Gunjaish Na Rahe…

merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jaati!

shiddat-e-dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gahre hain to phir zakhm bhi gehre honge……….

Just4lovers…………

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 249 other followers