TamannaaoN meN ulajhaayaa gaya hooN


TamannaaoN meN ulajhaayaa gaya hooN
Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN

HooN us kuuche ke har zarre se aagaah
Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN

Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN

Saweraa hai bahut ai shor E mahashar
Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN

Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye
Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN

kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa
kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN

Shad Azim Abadi

Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa


Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa
‘Faraz’ aur use haal E dil sunaane jaa

Kal ek faqeer ne kis saadgi se mujhse kaha
Tere JabeeN ko bhi tarsaiNge aastaane jaa

Use bhi hamne gaNwaaya teri khushi ke liye
Tujhe bhi dekh liya hai, aray zamaane jaa

Bahut hai doulat E pindaar phir bhi dewaane
Jo tujhse rooTh chuka hai use manaane jaa

Suna hai usne So’ember kI rasm taza ki
‘Faraz’ tu bhi muqaddar ko aazmaane jaa

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 249 other followers